Sunday, March 24, 2019

Swift Bic Code Problem Solve In Hindi, Swift Code Ki Jankari hindi me

'What Is Swift Code For Google Adsense In Hindi" Dosto Ye Post mai un logo ke liye bana raha hu jinko swift Bic Code ki Jankari Bahut kam hoti hai . India mai Swift Bic code 11 digit ka hota hai. Or kai logo ko ye nahi pata hota ki Jo hamara bank hai usmai swift code available hai bhi ya nahi . Ye Swift bic code wali sabse jayada tar problems (P1007) Walo ko aati hai or p1007 ye online Advertising Revenue Ka Code hai.



Swift Bic Code Ki Jankari
  
Ye problems jyada tar Google AdSense Publisher walo ko Aati Jab Unke $100 Pure ho jate hai to Google EFT payment ke jariye Sidhe Apke Account mai Balance Transfer karta hai , but Humko problems jab aati Hai Jab Adsenes ke EFT payment Form mai Swift Bic Code ke Baare mai pucha jata hai or humko pata nahi hota ki ye swift bic code kya hai , same yahi problems mujay bhi hui thi jab meri pehli Adsenes ki payment $151 Aani thi Or mujko ye nahi pata tha ki Swift bic code kya hai Maine khub janne ki kosis ki Apni near State Bank of Patiala Branch (Bhiwani,Haryana) mai or unhone kaha is branch mai Swift bic code available nahi  hai.

To dosto Maine dusri District Panipat ki State Bank of Patiala ka Swift  code AdSense ki EFT payment form mai de Diya or 8 din Baad Meri Account mai $151 dollars Aa Gaye Or Phir Maine Jana ki Swift code Agar apki branch mai nahi hai to Aap Dusari Same branch ka Swift bic code de sactey ho Jaise for Example

Mera Account State bank of Patiala mai hai ye Branch Bhiwani(Haryana) ki hai or ismai swift code nahi hai
To Mai State bank of Patiala ki Branch Jo Panipat(Haryana) mai hai or iskmai swift bic Code Available hai To Mai Iska Swift bic code use kar sacta hu.


Swift Bic Code isliye kiya jata Hai AdSense mai Jo payment Apke Account mai Aa rahi hai WO kis country mai jaai gi or uska Jo bank hai dollars ki currency ko Indian Rupee's mai Convert kar Sacta hai ya nahi isliye swift bic code liya jata hai or Ab Apko samaj Aa gaya hoga ki Swift bic code kya hai or isko Kaise use kare

Jaisa ki Maine Apko Bataya suru mai Swift bic code 11 digit ka hota hai India mai


Suru ke swift Bic code ke jo Four Digit Apke bank ka name hota hai sort mai

Or phir Two digit Apke country ke hotey hai letters mai

Or phir or two digit or hotey WO apki bank location ke Aria code ke hotey hai

Or aKhire mai Three 3digit  apke branch code ke last three digit hotey hai

To Aise hota hai Swift bic Code Agar Apni City ke bank location ke Swift code Search karne hai to Is Website par visit kare Click here



Agar Apko Meri is post se related kuch bhi mujse phuchna ho to Aap mujh se Comments Box Mai Apna Javab Likhiye or Phir mai Apki jald se jald Halp karne ki kosis karunga comments box ke jariye Thank You

Taged Line
Swift bic code kya hai,swift bic,swift bic code in Hindi,swift code ki jankari,swift code search, swift code bhiwani,swift code haryana,swift code sbp bank, what is swift bic code, hindimejane swift code ko, swift code ki hindimehelp, swift.info, swift.swift code about,swift code India,swift bic code, swift jankari, swift help,bic,code,bank ifsc swift code,google, Google Adsenes swift bic Code In Hindi, Adsenes ki jankari,Adsenes swift bic code,Adsenes login,Adsenes swift,Sonu Rajput.

4 comments:

  1. thanks for post
    me {sirsa] haryana se hu
    state bank patiala me account hai
    sirsa me swift nhi hai
    {hissar} ka show hota hai hissar me avilable hai
    ese me apne branch account me use kar sakta hu ya nhi
    use karne me koi problem to nhi hogi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Apka Account Agar State bank of Patiala Mai Hai To Aap Hissar Ke Swift Code Ko Use Kar Sacte Ho
      , Maine Bhi Aisa he Kiya Tha Jab Meri payment Adsense Se Aane Thi

      Delete
  2. Bhai mai churu districk se belong karta hu yaha par bank ka swift code nhi h to kya mai bikaner dis.ka swift code use kar sakta hu

    ReplyDelete
  3. Agar apka account Sbi Me hai ya Kisi or bank Me hai or usmai swift bic code nahi hai to Aap Apne Near koi bhi Distric padti ho jismai Swift Code Available ho Aap Usko Use Kar sakte ho

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi