Monday, October 3, 2022

RTI Application Form Kaise Bhare. Janiye Hindi Me


"RTI Application Form Kaise Bhare" Agar apko RTI application ke bare me nahi pata hai to Aap hamari pichli post jarur padhe Pichli post pai jane ke liye yahan par click kare RTI Onine

Jaisa Ki Hamne Jana ki Aaj ke time me RTI hamare liye kitni jaruri hai kyuki iski madad se hum sarkar se wo sari jankari mang sacte hai jo desh ke Nirman Se related ho . Simple Apni Bhasha Mai kahu to RTI Se Hum sarkar se apne diye gaye tex ke rakam kaha paryog kiya gaya or kis jagah par kiya gaya kuch aise jankari hum sarkar se mang sacte hai . Humko Kuch Aise Jankari Nahi Mangni Chahiye Jo Desh ke Suraksha par Adharit ho . Iske liye Humko Ek RTI application Ke jarurat padti hai to chaliye Aaj mai apko online application ke bare mai batau ga or iski application ko kaise submit karte hai .

Sabse Pahle apko RTI ke Official Web Site Par Jana Hoga  Website Par jane Ke liye Mere Is Link ka Paryog Kare RTI ONLINE  

Ab Apke Samne RTI Application Form Open Hoga Home Page Par . or mai ab apko ye baat or bata du ki rti ki application ko submit karne ke liye humko registration ki koi jarurat nahi hai Or Isami Aisa Likha Nhi Hua Hai User Registration Is Not Mandatory.

Ab Apko RTI ke Website Ke Home Page Par Submit Request Ka Option milega uspar apko click karna hai.



Ab Apke Samne RTI Ki Guide Line Ki Online Portal Khulega Jismai Apko Kuch Bate Batai gai Hongi Aap Un Bata ko Dhayan Se Read Kare Or Isko Submit Kare.

To Ab Apke Samne Kuch Is Parkar ka Form open Hoga .

RTI Application Step By Step

No.1 is mai apko wo ministry selkect karni hai jiske uper aap sawal puchna chahte ho maine to Ministry of Railway ko Select kiya hai .

No.2 Ismai Bhi  Wo He rahne De

No.3 Apka Name Daliye.

No.4 Apna Gender Select kijiye.

No.5 Apna Address Daliye

No.6 Country mai India He Rahne de.

No.7 Apne State Ko Select Kijiye.

No.8 Agar Aap Gramin Ilake Mai Rahte Hai to apko Rural Ko Select Karna Hoga Yadi Aap Sehri Area Mai rahte hai to apko  Urban Select karna hoga.

No.9 Isami apko apni Education Status Dalna hai.

No.10 Apna Mobile Number daliye.

No.11 Apna Email Id Daliye .

No.12 Citizenship me indian he rahn de.

No.13. Agar Aap Garibi Rekha mai Aate ho Or apke Pas BPL Card hai to Aap Ismai Yes Ko Select Kare
Or Ismai Apko Apne BPL ke jankari deni hogi Agar Aap Garibe Rekha Se uper Aate  Hai to Aap Isko No mai Select kijiye or Apka 10 Rupay Application Fees Lagega Or BPL ke Liye ye Service Filhal Free Hai.

No.14 Is Box Aap apna Sawal Likh Sacte Hai Aap ismai English ya hindi mai apna sawal puch sacte ho Apko apna jawab 3000 sabd ki limit me rakhna hoga.

No.15 Agar Aap Apna Javab 3000 Hazar ke limit se jayada karna chahte hai to Aap Yaha par apne javab ke photostate karwa kar attech kar sacte ho.

No.16 Isami Apko Security Code ke image ke Text Box mai same to same dalne hai.

Or And mai Isko Submit kar dijiye



Ab apke samne ek pay slip ayegi jismai apko Rs.10 Rupay ka charge diya hoga Apko Wo 10 Rupay ka charge online karna hai aap iski pay net banking ya debit Card or Credit card ke jariye Aap iski Pay kar sacte ho , Pay karne ke Baad apke Pas Ek number diya jayega . RTI ka Javab apko 30 din ke ander milega agar apko 30 din  ke ander apko ko javab nahi milta hai to ap RTI Application ko dubara  Submit kar sacte ho.

To Friends Ab apko Pata chal gaya hoga ki RTI application ko kaise Submit karte hai online agar apko meri ye post acchi lagi ho to plz isko google plus or facebook par jarur share kare. or apko is post se related kuch puchna hai to Aap mujse comment ke jariye puch sacte hai. Thank You


Meta Tage:-
How Fill New Application RTI, How To Fill Online RTI Application Form In Hindi, RTi Application Form information in hindi, What is RTI, RTi Application form kaise bhare online, rti application form ki jankri, RTi form ko kaise bhare, kaise kare online rti form ko, RTI ko online karne ki jankari.SonuRajput.

5 comments:

  1. Homeguard me rti le skte hai kya

    ReplyDelete
  2. ग्राम प्रधान से गांव में किये गए कार्यो के बारे में जानकारी मागनी हो तो कैसे और किससे या किस विभाग से मांगना होगा

    ReplyDelete
  3. आप RTI के जरिये गांव के कार्ये में लगा पैसा कहा use हुआ और कितना use हुआ , इसकी जानकारी मांग सकते हो

    ReplyDelete
  4. MAIN APNI GAOKI VIKASH KA JO PAISA AATA HAI OH KITNA AAYA OR KAHA KAHA KHARCHA HUAWA HAI YAH JANNANA CHACHTA HOO KAISE PATA KARENGE SIR IDEA VATAI PLZ

    ReplyDelete
  5. MERE GAO KA MUKHIYA APNE MAN SE KAM KARTA HAI MAIN SACHTA HOO KI GAO KA VIKASH HO OR GARIBO KA UNKA HAK MILE

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi