Google Drive Google Ki he Free Service Hai Jiske use se Hum is Drive ke Ander Apna khud ka storage bana sacte hai jaisa ki Apne Computer mai Drive(c) Drive (D) Hota Hai Waise He Google Drive Hota hai.
Google Drive Internet par Apko 15 GB Tak Ka Free Space Deti Hai,Google Drive ko Aap dunia ke kisi bhi kone se use kar sacte hai , or ye bilkul Secure hai ,
Google drive hum sabhi ko use karni Chahiye kyuki kai baar Aisa hota hai Apki kuch image ho ya video file Mobile ki internal memory mai save hoti hai or mobile mai fault ya formats ke karan Apka data lose ho jata hai or fhir Aap usko recover nahi kar sacte . to Aise Mai Aap Feature Ke Liye Aap Google Drive ka Use kar sacte hai Aap ismai 15 GB tak image video PDF notpad wordpad jaise or bhi file safe rakh sacta hai.
Google Drive par apna Personal Data lose hone ke zero 0 present Chance hote Hai Kyuki google drivw ke Bahut Sare Servers Hote Hai Agar maan lijiye kisi ek server mai dikkat hoti hai hai to 2nd server apne Kaam par Lag jata Hai Isiliye Google Drive Apne Users ke data ko secure karne ke liye Ek se Jyada servers ka use Karta hai , Aap Jo File Google Drive mai Upload kar rahe ho WO Na Jane Kitne Servero mai Upload ho rahi hoti hai .
Google Drive Apka Ek Mini Pan drive hai Jisko Aap dunia mai kahi se bhi Use kar sacte hai Bus jarurat Hoti hai user name or password ki jiske jariye Aap kisi bhi computer mai ya mobile mai Apne File ko use kar sacte hai.
Google Drive Ka Use Aaj Kal Badi Badi Company Bhi iska. Use Bahut Acche se use kar Rahi hai or Google drive ki madad se ek file se sabhi computers par kaam kiya ja sacta hai.
Google Drive ki help se Hum Ek new Form Create kar sacte hai or Hum iske Ander Microsoft office par bhi Kaam karke iske Ander Apni File ko Save kar Sacte hai.
Or kabhi bhi kisi bhi upload ki hui file ko download kar sacte hai. or Aap ismai new folder Create kar sacte hai same mobile or Computer ki traha or Aap kisi Bhi File ko Social Website Share Kar Sacte hai.
To Dosto mai to ye kehna chahu ga ki google drive ki jitni baat ki jaye utne he kam hai kyuki ye Bahut sari service ka istmal karti hai Jo har Aadmi ke liye jaruri Hoti hai.
To Dosto Aab Apko pata Chal Gya Hoga ki Google Drive Kya hai . or iska use karna hamre kite itna jaruri kyu hai. Agar apko meri ye post acchi lagi to plz isko Facebook or google plus par jaruri share Kare, or meri is post se related kuch puchna hai To Aap Mujhse Comment ke jariye Puch Sacte hai. Thank You
Meta Tage :-
What is Google Drive, How to use google drive, how to upload google drive, google drive kya hai , google drive ko kaise use Kare, google drive ki puri jankari Hindi me, google drive ko kaise Kare use, Google drive mai kya hota hai, google drive se kisi bhi file ko kaise share Kare, google drive in Hindi google drive ki basic jankari Hindi me,SonuRajput.
No comments:
Post a Comment
Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi