Friday, March 29, 2019

Apne Mobile Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye Top 8 Tips


"Apne Mobile Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye" Mobiles Phone Hang Hona Ye Mobiles Ki Sabse Big Problems hai , Or Ye Akhirkar Hang Hote kyuki hai . Aaj Hum Apni Post me yahi Jane Ge ki Akhirkar Android Smart phone hang kyu Hote hai or aise konse reasons hai Jiske karan ye mobile phone Hang Hote hai.


Mere Aise kai Friends Jinko mai Janta Hu Jinke Mobile phone mai Hang Hone ki Badi Samasya rahi Or Mere Experience ki Anusar Maine Jo unko Tipes Batai Thi Jinko unohne Follow Kiya Or Uske Baad Unke Mobile phone mai kabhi bhi hanging ki problems Nahi Aai Hain. To Kuch Aise He Tipes Mai Apko Batane Wala Hu Jinko Aap Follow karne se Apko Future mai Kabhi bhi mobile hanging ki problems Nahi Aai Ge Ye mai Apko Guaranty ke sath Kehta Hu .

Mobile Phone Hang Hone se Kaise Bachaye Top 8 Tipes

Big Size Application Uninstall

Phone Hang Hona ka Sabse bada Reason ye Hota Ki Hum Apne Phone Over limit Application Install karte he Chahe WO Game Kyu Na Ho Aise Application ko Aap Uninstall ker De To he Dhik rahega Kyuki Phone Hang Hone ka Sabse bada Reason aise Application he hoti hai.

Not Usable Application Install

Aap Apne Mobile Phone se Aise Application ko uninstall kar Dijiye Jo Aap Apne mobile mai rakhte to hai lakin unka use bahut kam karte hai.Aisa karne se Apka mobile mai jyada hoga or Hang hone ke problem kam hogi.

In Build Application Force Stop

Jaha Tak Mera Anuman Hai Android mobile phone mai Sabse jyada in build Application hoti hai or unko Hum Uninstall to kar Nahi Sacte lakin Hum Unka Force Stop jarur Kar Sacte hai. Aisa karne se WO Application Running mai se removed Ho jai ge Or Apke mobile ka processeser Or Bhi Fast ho Jaye ga or Hanging ke chance Thode kam Honge . Forces Stop karne ke liye Aap apne mobile ke Setting mai jaye Or Waha Se App Manager  mai jaye or kisi bhi Application ko open Kare jiska Apko Apko forces stop karna hai . Apko wahi pai ye Option milega.


Application Clear Data .

Kuch Aise Bhi Application Hoti Hai Jinko Hum Jyada ter use karte hai jaise Facebook,WhatsApp,Browsers To Aise Application ko hum Uninstall to Nahi kar Sacte .or Aisa Hone se In Application ka Size Every day Jyada Hota jata hai or kabhi Kabhi To inka Size 100mb se upper bhi ka sacta hai . to Aise mai Inka Clear data kar De aisa karne se Apki Application bhi remove Nahi hogi Or Apke Mobile internal Space bhi Jyada ho jaye game or Apke mobile phone Hang hone ke chance Bhi kam ho jaye ge.


Minimum Free Space on Mobile 2-3 GB

Mobile Phone Hang hone ka karan ye bhi Hota hai ki Apke Mobile Mai Itna Space Nahi Hota hai Jitna Apke Mobile Application ko Chahiye Hota hai . Or Jaha Tak mera manna hai Apke mobile mai kam se kam 2-3 GB Free Space hona Chahiye or Aisa karne se Apki mobile Application ka behavior Accha Hoga Apke mobile ke liye . Or Aisa hone se Apke Mobile System ka hang hona kam ho jaye game.


Not Be Use Antivirus Application

Aise Application use mat kijiye Jo Apke Mobile ko scan karte hai or In Application se Aisa Kuch bhi nahi hoga Agar Apke Mobile phone mai Virus hai To Aap Apne Mobile ko PC se connect karne scan karwa kijiye . Aap ek Baat Khud sochiye Market Mai Device Scan karne wale Software jinki Cost 1k se 10000 hazar rupay  tak hai . Or Aap apne mobile mai kuch free Antivirus application Download karne scan karnge to un Software ka Kya Hoga Jo Paid Hote hai . To plz Aise Antivirus application ko Apne device se uninstall kijiye .


Data On Not Be Use Mobile in Under 1 to 2 Minutes

Jab Aap Apne Mobile phone ka Data On Karte ho to Aap usko 1 se 2 minutes use na Kare or kahi bhi mobile screen par touch na Kare kyuki jab Aap apne Mobile phone ka internat data on karte hai To kuch Aise Application running mai As Jati hai jaise Facebook , WhatsApp  data on hone se In Applications par Msg Aane suru ho jate hai.


Every Day Reboot Your Phone

Agar Hum Apna Mobile Every day restart karenge to mobile Hong hone ke chance kam ho jate hai Kyuki Aisa karne se ek dam Sari Applications ki runnings Process khatam ho jyati hai jab tak Hum us Application ko use na kare.



To friends Aisa karne Aap Apne Mobile Ko Hang hone se Bacha Sacte hai or In Tips ko follow karne ke Baad Apko Futures mai hanging ki problems Nahi hogi ye meri Guaranty hai Apse.   Agar meri ye post Acchi lagi ho to PLz isko Facebook or Apne Friends ke sath jarur Share Kare. Thank You

Meta Tage:-
Mobile phone ko hang hone se kaise bachaye, Why is  hang my mobile phone , Hanging Solutions in Hindi , Android smart phone ko hang hone se kaise roke, Mobile hang kyu Hota hai, hang kaise Hota hai , Application se mobile kyu hang Hota hai, mobile phone ki hang hone ke puri jankari Hindi me, Mobile hang Kya Hota hai,SonuRajput.

3 comments:

  1. sir mera name rahul singh hai
    aur meri site anytechtips.com hai
    mai abhi new blogger hu aur mai ye janna chahta hu ki ye jo blog me sabse neeche
    design by sonu rajput likha huaa hai
    ise chang kaise karte hai mera matlab hai ki design by ko kaise chang karte hai

    ReplyDelete
  2. agr every day reboot kiya jyega mobile ko to koi problem to nhi hogi

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi