Sunday, March 24, 2019

Internet Pack Validity Se Pahle Kyu Khatm Ho Jata Hai . Top 6 Reason


Internat Pack validity se Pahle khatam Kyu ho Jata Hai Ye Questions Har ek mobile user ke mind mai Hota Hai Or ye Sochte Hai Ki Maine To Ek month wala Internet pack ka Recharge karwaya Tha Lakin Ye To Samay se Pahle He Khatam ho gaya lakin Kya Apko Pata Hai Aap kuch Aise Galtiya Karte Ho Anjane Jab Aapka Data pack on Hota Or Aapko Pata Bhi Nahi Chalta Or Aapka internet Data Pack Time se Kafi Pahle he khatm ho jata hai .


Don't Worry My Friends Mai Aapko WO Saari Problems batau ga Jo Aap Data On Karne ke Doran Karte Ho . Agar Aap In Galtiyo Par Dhayan Doge to Aapka Internet Pack Kuch Had Tak Save Ho Sacta Hai .


Ye Padhe :-
Mobile Phone mai App Lock ka
Password kaise Tode


Smart Phone Ko Projector
Kaise Banaye


Top 6 Reason Reason Internet Pack Time se Pahle Khatm Hone Ke.


No.1 _  Auto Update Application  =  

Agar Aap Google Play Store Se Application Download karte Hai To Dhayan De To WO Application Kuch Time Ke Baad Update Hoti Hai Or Aida Hona se Apke Data Pack MB Kam Ho Jati . Agar Aap In Application Ko Update Nahi Hone dena Chahte To Sabse Pahle Aap Google Play Store mai Jakar Auto download File Ko Band karna Hoga . Agar Aapko Auto update Application band Nahi karni Aati To Aap Hamari Ye Post Padhe :- Play store ki Auto update application ko Stop kaise Kare.


No.2 _ WhatsApp Auto Media File Download = 

 WhatsApp Ek Aise Application Jisko Puri Dunia Use Karte Hai Or Isko Aap Bhi Use Karte Honge Lakin Mai Aapko Bata du Agar Aapka WhatsApp ka Ye Function When Using Mobile Data Apka Sabhi File mai On Hai To Aapke Na Chahte Hua Bhi Kuch Aise Videos or Image Download Hoti hai Jinko Aap Download Nahi Karna Chahte hai . Jisay Aapka Internet data Dhire Dhire Se Khatam Hota hai. Agar Aap Ye Option Stop Kar De to Aapka Data Pack Kuch had take Save Ho Sacta Hai . WhatsApp ki Auto media File ko Stop Karne Ke Liye Ye Post Padhe:- Whatsapp auto media file download ko kaise Stop kare.


No.3 _  Application ke Notification Kare Band = 

  Aapke Mobile Mai kuch Aise Application hoti hai Jinke Notification Aapke mobile Par Aate hai Jab Aapka Internet data on Hota Hai Or in Notification se Aapke Net Pack par effect padta hai or Aapka Net Pack Samay se Pahle Khatam Hona Suru ho jata hai . Isliye Aap in Notifications ko band rakhe or Aapka Data pack Save Kare kuch Had Tak. In Notification ko band karne ke liye Application Manager mai Jaye Or is Application ko Select Kare Jo Baar Baar Apke Mobile Par Notification Daal Rahi hai Jinki Aapko Jarurat Nahi hai Or Phir Us Application ka Force Stop Kare Or Aisa Karne Se Apke Mobile Phone ke Battery kafi Samay Take chalti Hai.

Ye Padhe:-
How to Take Internet data pack
Loan In One Minutes


Mobile Network Problems
Solution

No.4 _ Online Video Online Music Na Chaliye =

 Agar Aap online Watching Kare Hai jaise Ki YouTube Par Online Video Dekhna ya Gaana.com par koi online Audio Song Sunna ho , Or Aisa Karne Se Apke internet Ki kafi Had Take Khapat Hoti hai Agar Aapko Online kuch bhi Dekhna Hai ya Online Koi bhi Songs Sunna Hai To WiFi network Ko Connect Kare .



No.5 _  Data Band karke Game Play Kare 

Agar Aap Gaming ke Sokin Hai To Game Khelte Time Aapke Data Pack ko Off Karna Na Bhule Agar Aap Gaming ke doran internet pack on Rakhte hai To Apke Mobile par Kuch Ads Show Hoti Hai Game ke Bich mai . iske Karan Aapka Net Pack par Fark padta hai , Isliye Jab Bhi Game Khele Internet Data ko Off Karke Khele.


No.6 _ Jarurat Padne par 3G Service use Kare

Agar Aap Super Fast 3G Data Use karte Hai To  Isko Aap 2G Network Mai Select Kare Kyuki 3G Service ki Jarurat hame 3G Calling karni ho ya 3g Steaming karni ho jab Jarurat padti hai isliye 2G Network par Jayada ter Application Acchi chalti hai Isliye Jayada ter 2G Net ka Use Kare or jarurat padne par He 3G. Ka Chayan Kare,Or Aisa Karne se Aapka Net kafi Had take Save Hoga.


Agar Aap In 6 Tips ko Fellow kar Sacte Ho to mai Aapko Guaranty se Kahta hu Aap Aapne Internet Pack Ko Pure Validity tak use kar Sacte hai.
Or Aapko Meri Ye Post Acchi lagi ho to plz isko Facebook or Aapne Dosto Se Share Karna Na Bhule Or Humey Comment karke bataye ki Aapko meri ye post kaise Lagi . Tnak you By And Take Care Sikhte Rahiye mere Sath internet Technology.
Meta Tage :-
How to save Internet data pack,Internet pack ko save Kaise Kare, Net ki bachat kaise Kare,Net Mahine se Pahle kyu khatam Hota Hai, Net pack Ki validity kaise check Kare, Net jaldi kyu khatam Hota Hai , Internet pack ki basic jankari Hindi me, samay se Pahle he kyu khatam Hota hai internet pack , Janiye kaise Khayyam Hota hai internet pack Samar Se Pahle,INTERNET validity ki jankari,SonuRajput.

No comments:

Post a Comment

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi