"What Is Paytm Karo In Hindi" Paytm Aaj Ye Ek Aisa Name ban Gaya Hai Jisko Har Koi Janta Hai Or Use Bhi Karta Hai . Paytm Ko Banane Wale Vijay Sekher Sarma Ne Isko 2010 Mai Lonch Kiya Tha Jab Paytm Kewal DTH , Mobile Or Electrical Bill Pay Karti Thi Lakin Ab 2016 Mai Ye E-Commerce Company Ban Gai Hai .
Paytm Karo Kya Hai , Paytm Ke Kya Faide Hai
Paytm Ek Aise Application Jiske Madhyam Se Aap Kahi Bhi Kisi Bhi Samay Apne Mobile Number Ko Recharge Kar Sacte Hai .Paytm Se Aap Apne Ghar Mai DTH Recharge Kar Sacte Hai . Paytm Ke Jariye Ghar Baidhe Shopping Kar Sacte Hai . Or Paytm Ka Sabse Accha Benefit Iske Jariye Hum Electricity Bill Pay Kar Sacte Hai Or Aapna Kimati Samay Bacha Sacte Hai .
Paytm Se Hum India Ke Kisi Bhi Theaters ke Movie Ticket Online Book Kar Sacte Hai . Paytm Se Hum Kisi Ko Bhi Online Payment Send Kar Sacte Hai , Paytm Se Hum Online Bus Ticket Book Kar Sacte Hai , Paytm Ab Irctc par Online Payment Kar Sacta Hai.
Ye Padhe :-
Net Banking Se Online Paise Kaise
Transfer Kare.
Paytm Se Dusre Paytm Mai Paise kaise
Transfer Kare
Paytm Ko Kaise Kare Use.
Paytm Ko Use Karna Bahut He Asan Hai . Paytm Application Ko Aise Banaya Gaya Hai Jisko Har Koi Asani Se Use Kar Sacta Hai . Paytm Ko Use Karne Se Pahle Aapko Sabse Pahle Paytm Ka Wallet Load Karna Hoga Jissay Aap Kahi Bhi online Portel par Pay Kar Sacte Hai Badi Asani Se . Paytm Wallet Load Karne Ke Liye Aapke Pas , Credit Card , Dabit Card , Netbanking , Inmai Se Koi Ek Option Aapke Pas Hona Chahiye Tabhi Aap Apne Paytm Wallet Ko Paiso Se Load Kar Sacte Hai .
Paytm Se Bhugtan Kaise Kare.
Aaj Kal Har Kisi Ke Pas Old 500 or 1000 Ke rupay hai Or Aapko Saman Chahiye 100 Repay Ka Or Aapke Pas Ho 500 Repay Wala old Note To Aise Mai Aap Koi Bhi Saman Nahi Kharidpate . Kyuki Pm.modi Ne 8 November 2016 Ko Ye Alan Kiya Ki 500 or 1000 Ke Not Raat Ke 12 Baje Ke Baad Nahi Chalenge . Isliye Aise Sichwaisan Mai Aagar Aapke Pas Paytm Application Hai To Aap Kahi Se Bhi Kitne Ka Saman Purchased Kar Sacte Ho bus Iske Liye Samne Shop Wale Ke Pas Bhi Paytm Application Hona Jaruri Hai.
Paytm Ke Jariye Kisi Ko Bhi Pay Karne Par Aapse Koi Extra Charge Nahi Liya Jaiga . Kisi Ko Bhi Paytm Se Bhugtan Ke Liye Receiver Ke Pas Paytm Hona Jaruri Hai Tabhi Payment Possible Hai , Bhugtan Karne Ke Liye QR Code Ka Use Kar Sacte Jissay Aapko Shop Wale Ka Paytm Se QR Code Scan Karna Hai Or Payment Kar Sacte Hai Or Dusra Option Ye Hai Aap Jis Shop Wale ko Payment Karna Chahte Hai To Us shop wale ke Paytm Mobile Ka Number Dal Kar Aap Payment Kar Sacte Hai ,
Ye Padhe :-
Mobikwik Se Dusre Mobikwik par Paise
Kaise Transfer Kare
Mobile Phone Ko Hang Hone Se
Kaise Bachaye
Paytm Se kaise Pata Kare Konsa Dukandar Paytm Se Payment leta Hai .
Paytm Ne Haal he Mai Ek Aisa Option Paytm Mai Add Kiya Hai Jiske Use Se Hum Ye Pata Kar Sacte Hai Ki Hamare Pas Konsa Paytm Dukandar Hai Jo Paytm Se Paise Leta Ho . Iske Aapko Paytm Application Se Paytm Nearby Ka Option Select Karna Hoga Usmai Aapko Aapke Pas Ke Sabhi Shoper Ke Paytm Address Show Kar Dega Or Aapko Bata Dega Ki Aapke Pas Ye Shop Wala Hai Or uske Shop Name Se Show Karega . Kahi Kahi To Apne Dekha Bhi Hoga Jaise Patrol Pamp par Aagar Aapko Patrol Pamp Paytm QR Sacan Karne Wall Code Dikhe To Aap Waha Pay Apne Paytm Wallets se Kar Sacte Hai
To Dosto Maine Jitna Asan Sabdo Mai Aapko Batana Tha WO Maine Aapko Bata Diya .
Agar Aapko Paytm Se Related Kuch Bhi Puchna Ho To Aap Humse Comment Mai Puch Sacte Hai Or Agar Aapko Ye Post Acchi Lagi Ho To Plz Is Post Ko Facebook , Google + or Apne Dosto Se Share Jarur Kare . Thank You By And take Care .
Meta Tag :-
Paytm Karo kya Hai , Paytm Karo In Hindi , Paytm Se Payment Kaise Karte Hai , Paytm Se saman Kaise Kharide , Paytm Se Patrol Ki Pay Kaise Kare , how to Pay online use paytm , What is Paytm Karo , Ab Paytm Karo , paytm Se ab Bill Bhugtan Karo , Paytm Se Movie Ticket Kaise Book Kare , Paytm Se Online Shopping Kaise Kare , Ab Atm Nano Paytm Karo , paytm Ko Kaha Par Use Kare , Paytm Ko Kaise istmal Kare , Paytm par Account Kaise Banaye , Paytm Par Recharge Kaise Kare , Paytm Par Bill payment Kaise Kare , Paytm Ki Puri Jankari Hindi Mai , Sonurajput.
No comments:
Post a Comment
Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi