Friday, March 29, 2019

BHIM App Kya Hai ! Bhim App Ko Kaise Use Kare , Or Bhim App Ki Kuch Khas Baate


"What Is Bhim App In Hindi" Bhim App E-wallet Se Bilkul Alag Hai Kyuki Ye Live Transaction Sidhe Aapke Account Se Karta Hai Kyuki Ye Sidhe Aapke  Bank Account Se Link Hai . 31 December 2016 Ko Bhim App Ko Pardhan Mantri Modi Ji Ne Digital Payment Or Cashless Ko Bhadawa Dene Ke Liye Lunch Kiya Hai . Lakin 3 Se 4 Din Mai Bhim App Internet Par Suparhit Ho Gaya Hai . Wo Isliye Bhim App Ko Ab Tak Google Play Store Par 30 Lakhs Se Jada Logo Ne Is Application Ko Download Kiya Hai Or 5 Lakhs Se Jada Is Par Len-den Ki Transaction Ki Ja Chuki Hai Jiske Karan Ye Play Store Par No.1 Mai Aa Gaya Hai . Bhim Application Ka Pura Name Bharat Interface For Money Payment Platform Hai . Bhim Application UPI or IMPS Service Se Less Hai Jissay Quickly Payment Ki Ja Sacti Hai .

BHIM App kya hai

Ye Jarur Padhe :-
Mobile banking Kaise Activate Kare


UPI-LOTZA Application Kya Hai

Bhim App Ki Kuch Khas Baate

Bhim App Filhal Android Ke Liye Lunch Hua Hai . Abhi Filhal Ye Iphone Or IOs Par Nahi Aaya Hai . Kuch Samay Baaad Isko Update Kiya Jayega.

Bhim App Ko Use Karne Ke Liye Aapko Internet Ki Koi Jarurat Nahi Hai. Ye Offline Bhi Work Karta Hai. Ho Sacta Hai Ye Aapke Mobile Balance Mai Se Kuch Sms Charge Le.

Bhim App Ko Use Karne Ke Liye Aapko Net Banking Ki Koi Jarurat Nahi Hai Ye Sidhe Aapke Bank Account Se Link Hota Hai. Bus Aapka Mobile Number Aapse Bank Account Se Link Hona Chaiye
Bhim App Aapse Transaction Ki Koi Fees Nahi Leta . Lakin Ho Sacta Hai Aapka Bank Aapse Upi Or Imps Ki Transaction Fees Le.


Bhim App Ke Jariye Aap Adhiktam 10000 Hazar Ruapy Ke Transaction Kar Sacte Hai Or Ek Din Mai Aap 20000 Hazar Rupay Ka Len-den Kar Sacte Hai.

Bhim App Mai Aap Account Number Ki Jaga Par Mobile Number Use Kar Account Mai Paise Transfer Kar Sacte Hai Bus Us Mobile Se Bhim App Ka Account Create Kiya Gaya Ho Ya Phir Usne Upi Par Registration Pahle Kabhi Kiya Ho .

Bhim App Ke Jariye Aap Payment Address Ke Jaga Par Qr Code Scan Karke Payment Kar Sacte Hai .

Bhim App Ke Jariye Aap Kahi Bhi Shoping Kar Sacte Hai Kyuki Bhim App Transaction Sidhe Seller Or Bank Account Ke Jariye Karata Hai .

Ye Padhe :-
Net Banking Se paise TransFer Kaise Kare


Net Banking Ki puri Jankari

BHIM Par New Account Kaise Banaye ( How To create new account Bhim App )

Sabse Pahle Aapko BHIM Application Google Play Store Se Download Karne Hogi Download Karne Ke Liye Yaha Click Kare BHIM APP DOWNLOAD


No.1 Download Karne Ke Baad BHIM App Ko Open Kijiye OR Sabse Pahle Apni Language Ko Select Kijiye


BHIM App





No.2 Ab Aapko Welcome To BHIM Ka Page Open Hoga Or Apko Isey Bhi Next Karna Hoga.
or Phir Aapko Ek Baar Or Next karna Hoga or ab Aapko LET`S GET STARTED Par Click Karna Hoga

BHIM app kya hi


No.3 Select Mobile Type Aapka mobile Ek Sim Ka Hai Ya   2 Sim Ka Hai   Ismai Aapko 2 Sim Wala Option Select Karna Hai.

BHIM APP kYA hai
No.4 Jaise He Aap Dual Sim ko select karte ho to Ab Aapko Mobile Verification Number karna hai or Aap Automatic message wali App Par forward ho jaoge or phir aapko us number par blank msg send karna hai . number apne app sender list mai aa jaiga .



BHIM App Verify Mobile Number



No.5 Jaise He Aap Aapna Mobile Verification Number Complete Kar Lete Ho  To Ab Aapko Agle Page Page  Ek BHIM App Passcode Create Karne Hoti Hai Jo Ki 4 Digit ke hoti hai . Passcode generate karne ke baad  Aapko Aapna Account Setup karta hai or phir iske baad aap kisi ko bhi paise lene or dene ke liye bhim app par ready ho jaogey



BHIM App Passcode

Ab Aap finaly aapna account create kar chucke hai or ab mai aapko aage ke ke screen shut nahi dikha sacta kyuki mera jo bank hai wo BHIM App Mai Supported nahi hai isliye mai kuch Aise banks ki list aapko bata raha hu jo ki Bhim App supports Banks Hai


BHIM Supported Banks List


- Allahabad Bank
- Andhra Bank
- Axis Bank
- Bank of Baroda
- Bank of Maharashtra
- Canara Bank
- Catholic Syrian Bank
- Central Bank of India
- DCB Bank
- Dena Bank
- Federal Bank
- HDFC Bank
- ICICI Bank
- IDBI Bank
- IDFC Bank
- Indian Bank
- Indian Overseas Bank
- IndusInd Bank
- Karnataka Bank
- Karur Vysya Bank
- Kotak Mahindra Bank
- Oriental Bank of Commerce
- Punjab National Bank
- RBL Bank
- South Indian Bank
- Standard Chartered Bank
- State Bank of India
- Syndicate Bank
- Union Bank of India
- United Bank of India
- Vijaya Bank



To Dosto Mujhe Umeed Hai aaapko meri ye jankari pasand Aai hogi or ab aapko pata bhi chal gaya hoga ki Bhim app kya hoti hai or iska kaise use hota hai or issay paise ki len den kaise hoti hai . or ane wale time mai aapko or bhi bhim apps ki jankari batata rahunga or jab mera bank bhim apps se support ho jaiga to mai aapko him apps se paise transfer karne ki jankari aapse jarur share karunga . isliye aap mera blog visit karte rahiye kyuki mai yaha par internet or gk se realted kuch new jankari par day share karta hu . Thank You By And Take Care.

No comments:

Post a Comment

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi