"How To Use Bigrock Domain In Blogger In Hindi" Blog ke bare mai to hum sab jante hai kyuki ye ek free service hai jo ki google dawara banai gai hai or maine apko meri pichli post mai bataya bhi tha blog ke bare mai blog par hamara blog kuch is parkar se hota hai blog.blogspot.com agar hum ispai koi website ragister kare to ye www.blog.com ban jaye ga. to Aaj mai apko batane wala hu ki kis parkar hum apne blog ke ander website ko add kar sacte hai wo bhi free mai , kyuki blogger ek blog hi nahi balki ek free hosting service bhi hai jo humko 15gb ka space or 15gb transfer ki bhi service deta hai jo ki ek new blogger ke liye kaafi accha bhi hai . sabse pahle mai apko ye bata du agar apke pass website nahi hai to app apni website abhi ragister karwa le ragister karwane ke liye app bigrock, godaddy jaise registrar se sampark kare. or doamin name registar karne ke baad humko website ki hosting bhi chahiye hoti hai or webhosting humko karib 5000 se 6000 rupay tak pad sacte hai . to aise mai apke pas paise na ho to app kya karoge. To isliye mai apko batane wala hu ki kaise hum khud ki website ki free mai google se hosting le sacte hai blogger ki service se . to chaliye dosto ab mai apko is post ke title par leke Aata hu.
Meri Ye Post JArur Padhe:- website kaise kharide
Step.1
Sabse pahle Aap blogger ke dashbord par jaiye
phir aap uski setting mai jaiye or apka sabse pahle Basic ka option khulega or usmai apko blog address par jana hai or apko +Setup a 3rd Party URL for your blog par click karna hai
To pko Apna Website Ka Url dalna hai or usko submit karna hai
Dashbord>>Setting>>Basic>>Blog Address
Or Ab apke Samne kuch Code key Ayegi
Ab Apko Apni Website Mai Login Hona Hai Or meri website Bigrock Par Registered hai agar app kisi or platform par registered hai to same yahi option apko milenge or aisa he apko karna hai . to sabse pahle apni website par login hota hu
Ab apko apne account par click karna hai
Or ab domain ko select kijiye
or ab apko sabse niche Manage DNS ko open karna hai
Or apke samne ek PopUp Window khulegi
Or Ab apko Usmai Add Record par click karna hai
Or ab apko add record ko open karna hai
or usmai ab Destination IVP4 ke Box Mai Hamko ye code dalna hai 216.239.32.21 or usko submit kar dijiye
or apko aise 4 record dalne hai jinke code niche apko diye gaye hai
- 216.239.32.21
- 216.239.34.21
- 216.239.36.21
- 216.239.38.21
Or ab apko CNAME ko open karna hao
or Ab apko Add a Cname Record par Click karna hai
Or Ab Apko Wo numbers code dalne hai jo apke blog mai add a third party Doamin name ke setting ke website ke niche show ho rahe hai
Ab apke www ke samne wala number hai wo apko kuch aise dalna hai
or isko Add record kar dijiye
or phir se ek baar Add A CNAME Record par click kijiye
or aise he apko www ke niche wala number ke samne wale number ko bhi aise he select karna hai
Or ab apko wapsi blogger ke ander aa kar Usko save kar agar save nahi ho raha hai to app isko 30 mint baad save kijiye or phir bhi na ho to app isko 2 se 3 ghante baad save kijiye or ye save hojaye ga
agar nahi hota hai save to apne kahi na kahin kuch galat type kiya hai or ap isko dobara check kar lijiye
Agar apko is post se related kuch puchna hai to aap mujhay comment ke jariye puch sacte hai
Meri Sabhi Post Padhne Ke Liye Yahan Par Click Kare Click Here
taged line
Website ko blog mai kaise add kare,freee hosting kaise kare, blogger kya hai, bigrock ke domain ko blooger mai kaise use kare, costum domain nameko blogger mai kaise use karete hai, set a third party contant website to blogger,sonurajput.
bahi aapka acha hai mene v ek blog banaya hai,mera ek sawal hai ki bina domain kharide absens aprove nhi hoga,kya bina absens kiye ads laga paisa kama sakte hai,
ReplyDeleteagar apka blog new hai to Aap adsense ki Ads nahi laga sacte apko 4 se 5 mahine wait karna hoga tab tak aap bidvertiser ki ads laga sacte ho
Deletemera blog www.dilhappyhai.blogspot.com hai plz check krke bataiye aur kya improve kre plz
ReplyDeletesourav ji apka blog bahut he accha hai.
DeleteMera ek blog h jise 1year ho gya h or usme mene myworldfun name ka domain add kiya h lekin mere blog ki post google search m nhi aa rhi h esa kyu
ReplyDeleteOr ap btaenge domain ko blog s add krte h to wo kya km krta h