Saturday, March 30, 2019

Digilocker Par New Account Kaise Banaya Jata Hai.


Digilocker Digital India ki ek Pehal Hai Jismai India Ko Paper Rahit India Banana Hai Jiske Liye Indian Government Ne Digilocker ki website or android Application Bhi Launch kiya Hai ismai Sabse Pahle Account Banana Hota Hai Or Aapka Account Apke mobile number or Aadhar Card Se Link Hota Hai Jisse Aapke Documents ki Security Hight Alert Par Hoti hai Or Ye System Https Se Ki Security par Work karta hai Jissay Apke Documents or File Secure rahte hai Or Ye Service Bilkul Free hai Or Agar Aapko Digital locker ke Baare mai Jayada Jankari Chahiye To Sabse Pahle Aap Hamari Ye Post Padhe:- Digital Locker Kya Hota Hai or Isko Kaha Use Kiya Jata Hai , Ye Post Padne ke Baad Aapko Digital locker ki saari jankari Aapko Mil Jaye GI . Or Aaj ki is post mai Janege ki kaise Aap Asani se Digital locker Par Account Bana Sacte Hai :-

How To Create Digilocker Account

Ye Post Padhe:-
Digital locker Kya
Hota hai



Google Drive Kya
Hoti hai


How To Create Digilocker Account.

Digital Locker Par Account Banane ke Liye Sabse Pahle Aapko Digilocker ki Website Open Karni Hogi . digilocker par Jane ke liye Yaha par click Kare 


Ye Padhe :- Digilocker Ko Aadhar Card Se Login Kaise Kare

Jaisa Ki Ab Aapke Samne Website Open Hai To Aapko Sabse Pahle Aapna Mobile Dalna Hoga . or jaise he Aap Mobile Number Aapna Submit Karnge To Uske Niche Ek OTP Box Show Hoga . or Ab Aapko WO OTP SMS Dalna Hai Jo Apke Mobile Number par Aaya Hai.



Jaise He Aap OTP With M.Number Number Submit karnge to Aab Aapko Agle Page par Set User Name Or Password wala Page Open Hoga. Or Aab Mai Aapko ye Bata du Ki Ismai Normal user name or Password use Nahi kar Sacte hai Aapko Ismai user name or password 8 Character se Jayada rakhne Hai or Aapka user name or Password Kuch Aisa Hona Chahiye For Exmpl:-  Adm@67543 kuch is trah ka user name or password Aapko Try karna Hota hai Tabhi Aapka Account Create Hoga .





Ye post padhe:-
Android mobile ke Top10
Hidden codes jankari


Bina Internet ke WhatsApp 
Facebook chalaye

Ab Aapke Samne Aadhar Card Waha Page Open Hoga Agar Aapke Pass Aadhar Card Hai to Aapna Aadhar Card Sankhya Daliye Or Isko Submit Kijiye. Agar Aapke Pass Aadhar card Nahi hai To  Aap Isko Continue Without Aadhar Card Par Click karke Submit kar Sacte ho Lakin Aapko Future mai Aadhar Card Issay link karna pad Sacta Hai . isliye Agar Aapke pass Aadhar Card Nahi Hai To Aap Aapna Aadhar Card Banwa Lijiye.






To Aab Aapka Account Successfully Create ho Chuka Hai Or Aab Aap Apne Documents Scan Karna Chalu Kar Dijiye Or Digilocker par Isko Upload kar Dijiye .


To Friends Aisa karke Aap Apne All Documents save Kar Sacte Hai or Iske Baad Aap Koi Bhi Online Form Submit karte hai to bus Aap Apne Digilocker ke Documents ko Share Kar Sacte hai Or Mujhe Umeed Hai Aapko meri ye Post Jarur pasand Aaj Hogi To plz is post ko Facebook or Aapne Dosto Se Share karna Na Bhule Or humey Comment Karke Jarur Banaye Ki Aapko ye Post Kaise lagi . Thank You By And Take Care Sikhte rahiye mere Sath Internet Technology.

Meta Stage:-
Digital locker Kya Hota hai, How To Create Digital Locker Account in One Minutes, digital locker par Account kaise banaya jata hai , digital locker ko kaise  use Kare , Online documents kaise share Kare, digilocker kaha use Hota hai, 1 minute mai digilocker par Account kaise banaye, digilocker par Account kaise Banaye,SonuRajput.

5 comments:

  1. Thanks for informative post, For connect digilocker they generate an OTP SMS to send codes for process completion. we also can send this otp sms and other promotional and transactional sms by using Top 5 Bulk SMS Service Provider in India.

    ReplyDelete
  2. humko ek cheej uplod nahi karna aa rha hia jaise koi pic ho markseet ho etc.... to bataiye ki kase hoga.

    ReplyDelete
  3. Digilocker Account Create Karne ke baad apko Upload ka Option milta hai aap Waha se Apne Documents Upload kar sakte hai

    ReplyDelete
  4. पासवर्ड नहीं ले रहा है

    ReplyDelete
  5. Sir I'd create kr ra hu pr ho Ni rhi ,user id kaise fill up Kru

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi