"Beta Testing Kya Hoti Hai , What Is Beta Testing In Hindi" Aaj Mai Aapko Batau Ga Ki Beta Testing Kya Hoti Or Iska Use Kaha Hota Hai Or Testing Ka Matlab To Hum Sabko Pata Hota Hai Kisi Bhi Chij ko Test Karna Ki WO Dhik Hai Ya Nahi Lakin Humey Ye Nahi Pata Hota Ki Beta Testing Kya Hoti Isliye Aaj Mai Aapko Bata ta hu Ki Beta Testing Kya Hoti Hai Or Iska Use kaha Kiya Jata Hai .
Jab Bhi Hamare India Mai Koi Product Ya Software Ya Application Banai Jati Hai To unmai Kuch Texting Ke Phase hote Hai or Jo Developer us Application ko Bante Hai To Us Application Ka Khud Test Karte Hai Or WO Ye Dekhte ki Is Application Mai koi Beg Ya kisi Bhi Parkar Ka Error or Virus To Nahi Hai Agar Developer Ko Lagta Ye Hai Ye Application Dhik Hai To WO Is Application Ko Alfa Testing Ke Liye Bhej Deta Hai . Or Alfa Testing Ka Kaam Hota Hai jis developer Ne Is Application Ko Banaya Hai WO Is Application Ko us developer Ke Members Ko Deta Hai Ya Phir WO Kisi 3Rd party ko ye Application Deta Hai texting Ke liye jab Unko Ye Lagata Is Hai Is Application Mai kisi Bhi Parkar ka Beg Nahi Hai Ya Ismai Koi Cresses or Virus Nahi Hai To Ye Application Finally Beta Testing Ke Liye Jati Hai .
Ye Padhe :-
WhatsApp Common Problems
Solution
Mobile Network Problems Ke
Solutions Hindi me
Or Ab Mai Aapko Finally Beta Testing Ke Bare Mai Batata Hu . Beta Testing Kuch Particulars User Ko De Jati . Jaise WhatsApp Ka Koi Latest Version update mai Aaya Play Store mai To Play Stor Mai WhatsApp Ke Niche Ek Beeta Test Ka Option Hota Hai Jismai User Ko Beta Test par Sign Up Karna Hota Hai . Jaise He Aap Beta Test mai Sign Up Karte Hai To Aap Us Company Ke Beta test Member Ban Jate Hai .
Beta Testing Ka Ye Matlab Hota Hai ki koi Bhi Application Aapna new Version Update Karne Se Pahle WO Isko kuch Limited Users Ke Dawara Test Karwati hai Ki Is Application Mai Kuch Falt Ya technical Kami To Nahi . Jisay Hum Beta Testing Kahte Hain . To Beta Test Mai User Ko Sabse Pahle Is Application Ka New Update Milta Hai Jisko WO Download Kar Sacta Hai . Is Beta application Mai Users Ko developer Se Feedback dene Ka Option hota hai Jismai User Ye Dekhta Hai Ki Is Application Mai Koi Flat Hai To WO Sidhe Developer ko Message Karke Bata Sacta Hai Or Developer Ye Dekhte Hai Ki sach Mai User dawara Se de Gai Jankari sahi hai To Developer us Applications mai Or Sudhar Karte Hai , Jab Developer Ko Beta Testing Acchi Milege To Jabhi Developers us application Ka Update Google Play Store par par Dege. Jab jakar Is Application Ka Update puri Dunia Ko Milta Hain To ab Aapko Pata Chal Gaya Hoga Ki Beta Testing Kya Hoti Hai . To chaliye Ab Hum Jante he ki kaise Beta Testing Ke Hum member Ban Sacte Hai.
Ye Padhe :-
Google AdSense Kya Hai
In hindi
Mobile Phone Ka Radiation Level
Kaise Check Kare
Beta Testing Ke Member Kaise Bane.
Beta Testing Ke Member Banne Ke Liye Sabse Pahle Aapko Wo Application Search Karni Hogi Google Play Store par Jiske Aap Beta Member Banna Chahte hai . For Example Aap WhatsApp Ke Beta Member Banna Chahte Hai To Sabse Pahle Aap Play Store Se WhatsApp Application Ko search Kijiye Or Jaise He Aap Is Application Ke Download Wale page par Aa Jaoge To Scroll Down Karke Sabse Niche Aapko Beta Test Ka Option Milega Ispar Click Kijiye Or beta Test Ko Join Kijiye Agar WhatsApp Ke Beta Member Ki Jaga Hogi To Aapko Beta Member Bana Liya Jaiga. or Phir Iske Baad Aapko WhatsApp Ka Sabse Pahle Update Aapko Milega
BeTa Testing Ke Faide Or Nuksan
Faida
Beta Testing Ka Sabse Accha Ek Faida Hai Aap Jis Application Ke Beta Member Banoge To Aapko Sabse Pahle Us Application ka Update Milege Or Sabse pahle WO Application Aapko Testing Ke Liye de Jaige . agar Aapko us Application Mai Kuch Falt Dekhta hai To Aap Developer ko sidhe Contact Karke Bata Sacte ho . Ye Adhikar Only On Beta Testing Members Ko Diya Jata hai direct Apne feedback developer ko dene Ke Liye.
Nuksan
Beta Testing Mai Aapko Ek Chij Ka Sabse bada Nuksan Ye Ho Sacte Hai ki Agar Aapke Beta Testing application Mai Koi beg ya koi Caresse or error ya virus nikla To Aapke Mobile Software Khatam Kar Sacta Hai Ya Phir Aapke Mobile Ko Hang Bhi kar Sacta Hai . Agar Aapko Kuch aise Problems Feel Hoti Hai To Aap Side Developer ko Aapni Feedback De Sacte Hai.
To Friends Aab Aapko Finally Pata Chal gaya Hoga Ki beta Testing kya Hoti Hai , Or agar Aapko Is Post Se Related Kuch Puchna Hai To Aap Humey Comment Karke Puch Sacte Hai
Or Is Post Ko Facebook or Apne Friends Se Jarur Share Kare . Thank you By And Take care Sikhte Rahiye Mere Sath Internet Technology.
Meta :-
Beta Testing Kya Hoti Hai , What is Beta Testing , developer Testing Kya Hoti Hai , what is Developer Testing , Beta Testing kya hai , Beta Testing Se kya Faida Hota Hai , Beta Testing Se kya Nuksan Hota Hai , Kisi Bhi Application Ka Sabse Pahle Update Kaise Paye , Sabse Pahle whatsApp Application Ka Update kaise paye , Alfa Testing Kya Hoti Hai , What is Alfa Testing , SonuRajput.
No comments:
Post a Comment
Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi