Hello Friends , Aaj Mai Aapko Batane Wala Hu Ki Kaise Aap Aapne Blog,Website Ka Jo Traffic Hai Kaise Increase Kar Sacte Hai . Blogging Dunia mai Kamayab Hone Ke Liye Kafi Mehnat Karne Padti Hai Visitors Ka Traffic Pana Hota Hai Jab Jakar Aap Aapne Blog Mai Kamyab Hotey Hai or Ye Post Bhi Requested Post Hai Kyuki Humse WhatsApp Par Kafi Baar Pucha Gaya Tha Ki Blog Ka Traffic Kaise Badaya Ja Sacta Hai Isliye Maine Mere 1 Year Ke Experience Ke Anusar Jo Maine Aapne Blog Ka Traffic Increase Kiya Hai WO Tips Aaj Mai Aapse Share Kar Raha Hu Jissay Aap Bhi Aapne Blog Ka Traffic Result Kafi Aacha Paoge .
Treffic Kya Hota Hai :-
blog par treffic ka matlab viewer se hai. Agar Aap Kisi Site Par Jate Ho To Aap Us Site Ke Viewer Kehlate Ho .Jitne jyada viewer aapke blog par honge. Utna jyada aapke blog ka treffic Acha hoga. Jitna jyada aapke blog ka treffic acha hoga utna He Jada Aapka Blog Popular Hoga .
Ye Post Padhe :-
Happy New Year Widget Blog Mai Kaise Lagaye
Blog Mai AdSense Ads Kaise Lagaye
Blog Website Ka Treffic kaise Badhaye
Unique Post :- maine bahut baar dekha hai ki log apne blog par jyada paise kmane ke liye dusre blog se post ko copy kar apne blog me paste kar lete hai, jo ki shi baat nhi hai. Aapke blog me kewal whi post honi chahiye jiski aapko knowladge ho. Khi se copy na ki gyi ho. Aapne apni mehnat or dimag se likhi ho.
Correct Post :- aapki post ek dum correct honi chahiye. Mera matlab aisa nhi honi chahiye ki aapki post ka tital kisi or ke baare me hai or aap post par kisi or ke baare me baat kar rhe ho. Aisa karne se visiter ko jo chahiye , wo use nhi milega or aapki blog ka trefic kam ho jayega kyoki wo visitor dubara aapke blog par visit nhi krega.
Post Tital :- aapko aapki post ke tital me best, tips, tricks, amazing jaise word use karne chahiye, jisse jab bhi koi visitor search eingon par aapki post dekhe to wo us par click karne ke liye vivash ho jaye. Aisa post ka Tital hona chahiye.
Keyword:- aapko post me aise keyword ka use karna chahiye jo searching me jyada aati ho jaise kab, kha, kyo, kaise, kisne. What, where, when. Kyoki koi bhi india mai jab google par kuch search karta hai to wo inhi keyword ka use jyada hota hai.
Ye Padhe:-
Blog Ka Backup Kaise Save Kare
Blogger Mai Robot.txt File Kya Hoti Hai
Search description :- Apni post ke pahle pahragraph ke 150 words me aapko aapki post ke baare me puri jankari de sakte ho to jyada acha hai kyoki pahle 150 words ki keyworda jyada searching me aati hai. Agar puri jankari nhi de sakte ho to itna type kar do ki google ko aapki post ke baare me malum ho jaye ki post kis base par hai.
Sharing On Social Site :- Agar Aapko Aapne Site Par New Visitors Chahiye To Aapko Aapni Site Continue Share Karne Chahiye Or Issay Aapki Site Ko Traffic Bhi Milega , Aapni Site Ko Share Karne Ke Liye Aap Google+ Community Or Facebook ke kuch Groups ki help le sactey ho unko joine Karke Or Group Bhi Aap Wahi Join Kijiye Jissey Related Aapki post Ho .
WhatsApp :- Latest Post Ki Update Dene Ke Liye Aap Aapne Visitors Se Aapna WhatsApp Number Jarur Share Kare . Aisa Karne Se Visitors Aapko Masg Karenge Jissay WO Aapke WhatsApp Chat Mai Save Ho Jaige Or Jaise He Aap Aapne New post Create Karte Ho To Us Post Ka Link Aap Aapne Visitors Ke WhatsApp Par Share Karke Unko Apne Post Ka Updating De Sactey Ho Jissay WO Visitors Sidhe Aapki Website Par Aa Sacta Hai.
Comments Reply :- Aap Aapne Blog Par Traffic Pane Ke Liye Aapne Visitors Duwara Kiye Gaye Comments Ka Jarur Reply De . Agar Aap Aapne Visitors Ko Reply Nahi Dogey To Aapka Visitor Aapki Site Par Phir Kabhi Nahi Aayega . Jissay Aapki Site Ka Traffic Kam Ho Sacta Hai Isliye Aap Continue Aapne Visitors Ke Comments Ka Reply Jarur De Jissay Aapka Visitors Aapko Site Par Dubara Visit kar Sake.
Guest Post :- Aagr Aap Aapne Site Ka Traffic Kam Time Mai Jada Pana Chahte Hai to Aapko Kuch Post Dusri Site Ko Deni Padti Hai Jisami Aapke Site Ka Ek URL Hota Hai Aagr Aap Kisi Badi Site Ko Guest Post De Rahe ho To Us Site Ke Kuch Visitors Aapki Site Par Jarur Aate Hai Jissay Aapko Aapne Site Ke Back link Milte Hai Jissay Aapke Site Ki Ranking Acchi Hoti Hai Or Ye Search engine Ke Liye Kafi Helpful Rahte Hai . Or Aapke Site Ka Traffic Bhi Increase Hota Hai
Comments :-
aapko mere dwara di gyi jankari kaisi lgi please comment kar humse share jarur kre. Agar aapki internet ya phone ki koi bhi problem hai to aap hume comment kar sakte ho, hum aapki jaldi hi help krenge. Thank you.
aap theme kon si use kr rahe ho kya ye free hai
ReplyDeleteSora Template Ye Free Theme hai
ReplyDelete